Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hui he, Teri Rah Me Akhiyan Bichhate Bichchate, Teri Hasraton Me Teri Chahaton Me Bare din Hue Ghar Sajaate Sajaate.
Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hui he…
Mera Ye he Imaan Ye Mera Yaqeen He MereMustafa Sa Na Koi Haseen He, Ke Rukh Unka Dekha He Jabse Qamar Ne Nikalta He Muh Ko Chhupate Chhupate
Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hui he…
Qayaamat Ka Manzar Bara Purkhatar He Magar Mustafa ka Jo Deewana Hoga, Woh Pul se Guzar Jaega Muskurake Naara Nabi Ka Lagate Lagate
Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hui he…
Mere Lab Pe Maula Na Koi Sada He Fakat Mujh Nikamme ki Yeh Hi Dua He, Meri Saans Nikle Dare Musftafa Pe Ghame Dil Nabi Ko Sunate Sunate
Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hui he…
Yeh Mana ke Ek Din Aani Qaza He Magar Doston Tumse Ye eltija He, Ke Shehre Muhammed (sallallahu alaihi wasallam) Ki Har Ek Gali Se Janaza Uthana Gumate Gumate
Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hui he…
Na Kabe Se Matlab Na Masjeed ki Chahat Fakat Dil Me Haakim Tamanna Yahi he Jo Mil Jae Naqsha Kafe Paaye Ahmed To Mar Jayein Sar ko Jhukate Jhukate
Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hui he…