Aaj Ashk Mere Naat SonayE To Ajab Kiya,
Sun Kar Woh Mujhe Paas Bulaein To Ajab Kiya
Deedar Ke Qaabil To Kaha Meri Nazar He, Lekin Woh Kabhi Khwab Me Aaye To Ajab Kiya
Un Par To Ghunahgaar Ka Sub Haal Khula He, Us Par Bhi Who Daaman Me Choopayain To Ajab Kiya
Haasil Jinhe Aqaa Ki Ghulaami Ka Sharaf He, Thokar Se Woh Murdo Ko JilaE To Ajab Kiya
Muh Dhank Ke Rakna Ke Ghunahgaar Bahot Hu, Mayyat Ko Meri Dekhne Aye To Ajab Kya
Na Zaade Safar He Na Koyee Kaam Bhale He
Lekin Mujhe Sarkaar Bulaa’E To Ajab Kiya
Woh Husne Do Alam He Adeeb Un Ka Karam He
Sehra Bhi Ghar Phool Khilaa’E To Ajab Kiya