Ban ke Noor e Khuda Mustafa Aagaye

Ban kay Noor e Khuda, Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aagaey

Marahaba Marhaba, Marhaba Marhaba Mustafa aagaey

Marhaba Marhaba Mustafa aagaey

 

Ujri dunya thi AAqa ney aabaad ki

Her taraf dhuum Unkay hay Meelaad ki

Sab kay Mushkil kusha, Mustafa aagaey

 

Marahaba Marhaba Mustafa aagaey

Marahaba Marhaba Mustafa aagaey

 

Ho gaey Nuur dunya kay zulmat tallay

Jin kay aanay say Mao ko baytay millay

 

Sarwar-e-Ambiyaa Mustafa aagaey

Marahaba Marhaba Mustafa aagaey

Marahaba Marhaba Mustafa aagaey

 

Ban kay Noor e Khuda, Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aagaey

Marahaba Marhaba Mustafa aagaey

 

Arsh per Jashan Jin ka manaaya gaya

Sab Rasulon ko jiss may bulaaya gya

 

Haa wohi Dil Ruba Mustafa aagaey

Marahaba Marhaba Mustafa aagaey

 

Ban kay Noor e Khuda, Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aagaey

Marahaba Marhaba Mustafa aagaey

 

Ab na maa’yuus hoga sawaali koi

Aaj Naasir na lotay ga khaali koi

 

Muskura ay gada , Mustafa aagaey

Marahaba Marhaba Mustafa aagaey

 

Ban kay Noor e Khuda, Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aagaey

Mustafa aagaey, Mustafa aagaey

 

Marahaba Marhaba Mustafa aagaey

Marahaba Marhaba Mustafa aagaey