Guzre Jis Rah Se Wo Sayyid E Wala Ho Kar
Guzre Jis Rah Se Wo Sayyid E Wala Ho Kar
Reh Gayi Sari Zameen Anbar E Sara Ho Kar
Rukh E Anwar Ki Tajjali Jo Qamar Ne Dekhi
Reh Gaya Bosah Dah E Naqsh E Kaf E Pa Ho Kar
Waye Mehroomi E Qismat Ke Main Phir Ab Ki Baras
Reh Gaya Hamrah E Zawwar E Madinah Ho Kar
Chaman E Taiba Hay Wo Bagh Ke Murgh E Sidrah
Barson Chehke Hain Jahan Bulbul E Shaida Ho Kar
Sar-Sar E Dasht E Madinah Ka Magar Aya Khyal
Rashk E Gulshan Jo Bana Ghuncha E Dil Wa Ho Kar
Gosh E Sheh Kehte Hain Faryad Rasi Ko Ham Mein
Wada E Chashm Hay Bakhshain Ge Goya Ho Kar
Paye Sheh Par Gire Ya Rab Tapish E Meher Se Jab
Dil E Betab Ure Hashr Mein Para Ho Kar
Hay Yeh Ummeed RAZA Ko Teri Rahmat Se Shaha
Na Ho Zandani E Dozakh Tera Bandah Ho Kar