Aalam Mein Baraat Rachi Hai Naat Lyrics

Aalam Mein Baraat Rachi Hai
Arsh Ka Dulha (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Aaya Hai
Jugmug Jugmug Duniya Saji Hai
Arsh Ka Dulha (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Aaya Hai

Arsh Se Utra Noor Khuda Ka
Noor Badamaan Saari Duniya
Inki Zia Se Ye Chamki Hai
Arsh Ka Dulha (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Aaya Hai

Kufur Ki Boo Kafoor Hui Hai
Shah-e-Dinaa Ki Aamad Se
Khushboo-e-Iman Pehli Hai
Arsh Ka Dulha (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Aaya Hai

Khushiyon Ke Fuwaaray Ublay
Kaysi Masti Chayi Hai
Ghar Ghar Mein Shaadi Utri Hai
Arsh Ka Dulha (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Aaya Hai

Nikhre Nikhre Gulshan Saaray
Rung Ajab Hain Phoolon Ke
Daali Daali Youn Mehki Hai
Arsh Ka Dulha (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Aaya Hai

Hoor-O-Ghilmaan Saaray Malaik
Jinn-O-Insaan Taab’ay Hain
Donoo A’alam Par Shahi Hai
Arsh Ka Dulha (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Aaya Hai

Farsh Pe Chamka Arsh Ka Taara
Amina Bi (radi Allahu ‘anha)Ke Ghar Utra
Do A’alam Mein Dhoom Machi Hai
Arsh Ka Dulha (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Aaya Hai

Ma’iraj Ki Manzil Pe Ujaagar
Tanha Fayiz Sarwar Hain
Baraati Har Aik Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Hai