Arshe Haq he musnade rif’at Rasoolullah ki

Arshe Haq he musnade rif’at Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki
Dekhni he Hashr me Izzat Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki

Qabr me lehrayenge tha Hasr chashme noor ke
Jalwah farma hogi jab tal’at Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki

Kaafiro Par Taighe Waala Se Giri Bakre Ghazab
Abr-Aasa Cha Gayi Haibat Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ki

Laa Wa Rabbil Arsh jisko jo mila Unse mila
Bat’ti he Kownain me ne’mat Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki

Wo Jahannum me gaya jo Unse mustaghni huwa
Hai Khalleelullah ko haajat Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki

Sooraj ulte paaw palte chaand ishaare se ho chaak
Andhe Najdi dekhle Qudrat Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki

Tujhse aur Jannat se kya matlab wahabi duur ho
Hum Rasoolullah ke, Jannat Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki

Zikr Roke Fazal Kaate Naqs Ka Juya(n) Rahe
Phir Kahe Mardak Ke Hu Ummat Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ki

Najdi Usne Tujhko Mohlat Di Ki Iss Aalam Me Hai
Kaafiro Murtad Pe Rehmat Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ki

Hum bhikaari Wo Kareem, Unka Khudaa Unse fazoo
Aur naa kehna nahee Aadat Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki

Ahle Sunnat ka he bera paar Ashaabe Rasool (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Najm he aur Naav hai Itrat Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki

Khaaq Ho Kar Ishq Me Aaram Se Sona Mila
Jaan Ki AkSeer Hai Ulfat Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ki

Toot jaa-enge gunaahgaro ke fawran qaid-o-bund
Hashr ko khuljaaegi Taaqat Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki

Ya Rabb ik saa’at me dhul jaa-e siyaahkaro ke jurm
Josh par aa jaaye ab Rehmat Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki

Hai Ghule Baaghe Qudus Rukhsaar E Zeba E Huzoor
Sarve Ghulzaar E Qadam Kaamat Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ki

Ae Raza khud Saahibe Quraan hai mud’daahe Huzoor
Tujhse kab mumkin he phir midhat Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki