badal ya fard jo
Badal yaa fard jo kaamil hay Yaa Ghaus
Tere hi dar sey mustakmil hay Yaa Ghaus
Jo teri yaad sey zaahil hay Yaa Ghaus
Wo zikrullah sey ghaafil hay Yaa Ghaus
Anas sayyaaf sey jaahil hay Yaa Ghaus
Jo tere fazl par saail hay Yaa Ghaus
Sukhan hain asfiyaa tu maghz e ma’ani
Badan hain auliya tu dil hay Yaa Ghaus
Agar wo jism e ‘irfaan hain to tu aankh
Agar woh aankh hain tu til hay Yaa Ghaus
Uloohiyyat nabuwwat key siwaa tu
Tamaam afzaal ka qaabil hay Yaa Ghaus
Nabi key qadmon par hay juz e nabuwwat
Keh khatm is raah mein haail hay Yaa Ghaus
badal ya fard jo
Uloohiyyat hi Ahmad ney nah paayi
Nabuwwat hi sey tu ‘aatil hay Yaa Ghaus
Sahaabiyat huyi phir tabei’iyat
Bas aage Qaadiri manzil hay Yaa Ghaus
Hazaaron taabei’ sey toh fuzoon hay
Woh tabqa mujmalan faadhil hay Yaa Ghaus
Raha maidaan o shehrstaan e ‘irfaan
Tera ramna teri mehfil hay Yaa Ghaus
Yeh Chishti Soharwardi Naqshbandi
Har ek teri taraf maayil hay Yaa Ghaus
Teri chiriyaan hain tera daana paani
Tera mela teri mehfil hay Yaa Ghaus
Unhein tu Qaadri bai’at hay tajdeed
Woh haan khaati jo mustabdil hay Yaa Ghaus
Qamar par jaisey khur ka yoon tera qarz
Sab ahl e noor par faazil hay Yaa Ghaus
Ghalat kar dam toh waahib hay nah muqriz
Teri bakhshish tera naayil hay Yaa Ghaus
Koi kya jaane tere sar kaa rutba
Key talwa taaj e ahl e dil hay Yaa Ghaus
Mashaaikh mein kisi ko tujh pey tafzeel
Ba hukm e auliya baatil hay Yaa Ghaus
Jahaan dushwaar ho wahm e musaawaat
Yeh jur’aat kis qadar haayil hay Yaa Ghaus
Tere khuddaam key aagey hay ik baat
Jo aur aqtaab ko mushkil hay Yaa Ghaus
Use idbaar jo mudbir hay tujh sey
Woh zee Iqbaal jo muqbil hay Yaa Ghaus
Khuda key dar sey hay matrood o makhzool
Jo teraa taarak o khaazil hay Yaa Ghaus
Sitam kori wahaabi raafzi ki
Key hindu tak tera qaayil hay Yaa Ghaus
Woh kya jaanega fazl e Murtaza ko
Jo tere fazl ka jaahil hay Yaa Ghaus
Raza key saamne ki taab kis mein
Falak waar us pey tera zil hay Yaa Ghaus
in hind
बदल या फ़र्द जो कामिल है या ग़ौस
तेरे ही दर से मुस्तक्मिल है या ग़ौस
Badal Ya Fard Jo Kaamil Hai Ya Ghous
Tere He Dar Se Mustakmil Hai Ya Ghous
जो तेरी याद में ज़ाहिल है या ग़ौस
वोह ज़िक्रुल्लाह से ग़ाफिल है या ग़ौस
Jo Teri Yaad Me Zaahil Hai Ya Ghous
Woh Zikrullah Se Ghafil Hai Ya Ghous
अनस्सैय्याफ़ से जाहिल है या ग़ौस
जो तेरे फ़ज़्ल पर साइल है या ग़ौस
Ans’saiy’yaaf Se Jaahil Hai Ya Ghous
Jo Tere Fazl Par Saa’il Hai Ya Ghous
सुख़न हैं अस्फ़िया तू मग़्ज़े मा’ना
बदन हैं औलिया तू दिल है या ग़ौस
Sukhan Hein Asfiyaa Tu Maghz-E-Maana
Badan Hein Auliya Tu Dil Hai Ya Ghous
अगर वोह जिस्में इ़रफ़ां हैं तो तू आंख
अगर वोह आंख हैं तू तिल है या ग़ौस
Agar Woh Jisme Irfaa(N) Hein To Tu Aankh
Agar Woh Aankh Hein Tu Til Hai Ya Ghous
उलूहिय्यत नुबुव्वत के सिवा तू
तमाम अफ़ज़ाल का क़ाबिल है या ग़ौस
Uloohi’yat Nubuwwat Ke Siwa Tu
Tamaam Afzaal Ka Qaabil Hai Ya Ghous
नबी के क़दमों पर है जुज़ नुबुव्वत
कि ख़त्म इस राह.में ह़ाइल है या ग़ौस
Nabi Ke Qadmon Par Hai Juz Nubuwwat
Ki Khatam Is Raah Me Haa’il Hai Ya Ghous
उलूहिय्यत ही अह़मद ने न पाई
नुबुव्वत ही से तू आ़त़िल है या ग़ौस
Uloohi’yat Hi Ahmad Ne Na Paai
Nubuwwat He Se Tu Aatil Hai Ya Ghous
सह़ाबिय्यत फिर हुई ताबिइ़य्यत
बस आगे क़ादिरी मंज़िल है या ग़ौस
Sahabiyyat Fir Hui Taabiyyat
Bus Aage Qadiri Manzil Hai Ya Ghous
हज़ारों ताबेई़ से तु फुज़ूं है
वोह तब्क़ा मुज्मलन फ़ाज़िल है या ग़ौस
Hazaron Taabe-Ee Se Tu Fuzu(N)
Woh Tabqa Mujamlan Faazil Hai Ya Ghous
रहा मैदानों शह़रिस्ताने इ़रफ़ां
तेरा रमना तेरी मह़फ़िल है या ग़ौस
Raha Maidano(N) Shahristaane Irfaa(N)
Teri Ramna Teri Mahfil Hai Ya Ghous
यह चिश्ती सोह़र वर्दी नक़्शबन्दी
हर इक तेरी त़रफ़ माइल है या ग़ौस
Yeh Chishti Sohar Wardi Naqshbandi
Har Ik Teri Taraf Maa’il Hai Ya Ghous
तेरी चिड़ियां हैं तेरा दाना पानी
तेरा मेला तेरी मह़फ़िल है या ग़ौस
Teri Chidiyaa(N) Hein Tera Dana Paani
Tera Mela Teri Mahfil Hai Ya Ghous
उन्हें तो क़ादिरी बैअ़त है तज्दीद
वोह हां ख़ाती जो मुस्तब्दिल है या ग़ौस
Unhe To Qadiri Bai’at Hai Tajdeed
Woh Haa(N) Khaati Jo Mustabdil Hai Ya Ghous
क़मर पर जैसे खुर का यूं तेरा क़र्ज़
सब अहले नूर पर फ़ाज़िल है या ग़ौस
Qamar Par Jaise Khur Ka Yun Teri Qarz
Sub Ahle Noor Par Faazil Hai Ya Ghous
in hindi
ग़लत़ कर दम तू वाहिब है न मुक़रिज़
तेरी बख़्शिश तेरा नाइल है या ग़ौस
Ghalat Kar Dum Tu Waahib Hai Na Muqriz
Teri Bakhshish Tera Naa’il Hai Ya Ghous
कोई क्या जाने तेरे सर का रुत्बा
कि तल्वा ताजे अहले दिल है या ग़ौस
Koi Kya Jaane Tere Sar Ka Rutba
Ki Talwa Taaje Ahle Dil Hai Ya Ghous
मशाइक़ में किसी की तुझ पे तफ़्ज़ील
ब हुक्मे औलिया बात़िल है या ग़ौस
Masha’iq Me Kisi Ki Tujh Pe Tafzeel
Ba Hukme Auliya Baatil Hai Ya Ghous
जहां दुशवार हो वहमे मुसावत
यह जुरअत किस क़दर ह़ाइल है या ग़ौस
Jaha Dushwar Ho Wahme Musawat
Yeh Jur’at Kis Qadar Haa’il Hai Ya Ghous
तेरे खुद्दाम के आगे है इक बात
जो और अक़्त़ाब को मुश्किल है या ग़ौस
Tere Khuddam Ke Aage Hai Ik Baat
Jo Aur Aqtaab Ko Mushkil Hai Ya Ghous
उसे इदबार जो मुदबिर है तुझसे
वोह ज़ी इक़बाल जो मुक़्बिल है या ग़ौस
Use Idbaar Jo Mudbir Hai Tujhse
Woh Zee Iqbaal Jo Muqbil Hai Ya Ghous
खुदा के दर से है मतरुदो मख़्ज़ूल
जो तेरा तारिको ख़ाज़िल है या ग़ौस
Khuda Ke Dar Se Hai Matroodo Makhzool
Jo Tera Taariko Khaazil Hai Ya Ghous
सितम कोरी वहाबी राफ़िज़ी की
कि हिन्दू तक तेरा क़ाइल है या ग़ौस
Sitam Kori Wahabi Raafizi Ki
Ki Hindu Tak Tera Qaa’il Hai Ya Ghous
वोह क्या जानेगा फ़ज़्ले मुर्तज़ा को
जो तेरे फ़ज़्ल का जाहिल है या ग़ौस
Woh Kya Jaanega Fazle Murtaza Ko
Jo Tere Fazl Ka Jaahil Hai Ya Ghous
रज़ा के सामने की ताब किस में
फ़लक-वार इस पे तेरा ज़िल है या ग़ौस
RAZA Ke Saamne Ki Taab Kis Me
Falak-Waar Is Pe Tera Zil Hai Ya Ghous