Bheek ata ae Nabi Muhatasham ho
Meray Aaqa nigah e karam ho
Deed ka hun talab gaar Aqa
hun agar che gunah gaar Aaka
Ik jhalak apni Sarkar Aaqa
Aab dikha do na ik baar Aka
Iss gunah gaar par bhi karam ho
Mere Aaqa nigahe karam ho
Choot jaye gunahon ki aadat
Rab ki dil se karoon mein ibadat
Aisi kar de tu nazr e inayat
Bas tere gham main maah e risalat
Dil tarapta rahe aankh nam ho
Meray Aaqa nigahe karam ho Hai
tamanna meri mere dilbar
Dekh lun kash har saal aa kar
Teri masjid kay mehraab o minbar
Aur roze ka pur kaif manzar
Phir bayan haal ba chashm e nam ho
Mere Aaqa nigah e karam ho
Yaad aata hai mujh ko woh manzar
Jab chala tha Madine se dilbar
Muztarib qalb tha aankh thi tar
Us ghari ?arz ye thi zabaan par
Baar baar aaoon aisa karam ho
Mere Aaqa nigah e karam ho
Arz karta Obaid e Raza hai
Jo tere dar ka adna gada hai
Mushkilon mein shaha ye ghira hai
Tujh se imdad yeh chahta hai
Door iska har ik runj o ghum ho
Mere Aaqa nigah e karam ho
Hai yaqeen ?arz meri suno ge
Laaj Lajpaal meri rakho ge
Rahmatein khaas apni karo ge
Aaj daman mera bhi bharo ge
Ya Nabi taajdaar e haram ho
Mere Aaqa nigah e karam ho