Dare nabi par para rahunga, parre hi rehne se kaam hoga
Kabhi to qismat khule gi meri, kabhi to mera salam hoga
Khilafe maashooq kuch huwa hai, na koi aashiq se kaam hoga
Khuda bhi hoga udhar bhi aye dil, jidhar woh aali maqam hoga
Kiye hi jaoon ga arz matlab, milega jab tak na dil ka matlab
Na shaam e matlab ki subha hogi, na yeh fasana tamam hoga
Jo dil se hai ma’il-e-payambar, yeh is ki pehchan hai muqarrar
Ke har dam is be nawa ke lab par, durood hoga salam hoga
Isi tawaqqo pe ji raha hoon, yehi tamanna jila rahi hai
Nigahe lutfo karam na hogi, to mujh ko jeena haram hoga
Dare nabi par para rahoon ga, parre hi rehne se kaam hoga
Kabhi to qismat khule gi meri, kabhi to mera salam hoga