dayaar-e-mustafavii ke safar kii baat karo
jo kar sako to mohammad ke dar kii baat karo
jahaa.n-jahaa.n se hai.n guzre vo laa-makaa.n ke makii.n
vufuur-e-shauq me.n us rahguzar kii baat karo
vo jis kii ek nazar se amaa.n milii sab ko
madiine paak ke us chaara-gar kii baat karo
rahii jo ummat-e-aasii ke Gam me.n rotii mudaam
mere habiib kii us chashm-e-tar kii baat karo
dayaar-e-Garb ke qisse sunaa.e jab ko.ii
tum apne aaqaa-o-maulaa ke ghar kii baat karo
vo jis ke dar pe ‘niyaazii’ jahaan palte hai.n
us aashiyaan-e-shah-e-bahr-o-bar kii baat karo