Farishtay Jisk
Farishte Jis Ke Zaa-ir Haiñ Madine Me Woh Turbat He
Ye Woh Turbat He Jis Ko Arsh e Azam Par Fazilat He
Bhala Dasht e Madina Se Chaman Ko Ko-ee Nisbat He
Madine Ki Faza Rashk e Bahaar e Baagh e Jannat He
Madina Gar Salaamat He To Phir Sab Kuch Salaamat He
Khuda Rakhe Madine Ko Usi Ka Dam Ghaneemat He
Madina Aisa Gulshan He Jo Har Gulshan Ki Zeenat He
Bahaar e Baagh e Jannat Bhi Madine Ki Ba-Dawlat He
Madina Chorh Kar Seyr e Jinaañ Ki Kya Zaroorat He
Ye Jannat Se Bhi Bahtar He Ye Jeete Jee Ki Jannat He
Humeñ Kya Haq Ta’aala Ko Madine Se Muhabbat He
Madine Se Muhabbat Un Se Ulfat Ki Alaamat He
Gadaagar He Jo Us Ghar Ka Wahi Sultaan e Qismat He
Gadaa-i Us Dar e Waala Ki Rashk e Baadshaahat He
Jo Mustaghni Huwa Un Se Muqad’dar Us Ka Khaibat He
Khaleelullah Ko Hangaam e Mahshar Un Ki Haajat He
Ilaahi! Woh Madina Kaisi Basti He Dikha Dena
Jahaañ Rahmat Barasti He Jahaañ Rahmat Hee Rahmat He
Madinah Chorh Kar Jannat Ki Khushboo Mil Nahiñ Sakti
Madine Se Muhabbat He To Jannat Ki Zamaanat He
Zameen Par Woh Muhammad Haiñ Woh Ahmad Aasmaanoñ Me
Yahaañ Bhi Un Ka Charcha He Wahaañ Bhi Un Ki Mid-hat He
Yahaañ Bhi Un Ki Chalti He Wahaañ Bhi Un Ki Chalti He
Madina Rajdhani He Do Aalam Par Hukoomat He
Ghazab Hi Kardiya Akhtar Madine Se Chale Aa-e
Ye Woh Jannat He Jis Ki Arsh Waaloñ Ko Bhi Hasrat He
Madina Chorh Kar Akhtar Bhala Kyuñ Jaa-eñ Jannat Ko
Ye Jannat Kya Har Ek Ne’mat Madine Ki Ba-Dawlat He