Gunaah gaar sahi ummat e rasool to hai naat lyrics

Shayar: Ajmal Sultanpuri | Naat e Paak

 

गुनाहगार सही उम्मते रसूल तो है
हज़ार कांटों के झुरमुट में एक फूल तो है

Gunaah gaar sahi ummate rasool to hai
Hazaar kaanto ke jhurmut me ek phool to hai

 

 

बशर से दूर सही साहेबे बशर तो नहीं
ये कहकशाँ क़दमें मुस्तफ़ा की धूल तो है

Bashar se door sahi sahebe bashar se nahi
Ye kahkasha(n) qadme mustafa ki dhool to hai

 

 

नबी की एक इहानत हज़ार कुफ्र की जड़
अगरचे लाख इबादत हो,ना क़बूल तो है

Nabi ki ek e-haanat hazaar kufr ki jad
Agarche laakh ibadat ho, na qabool to hai

 

 

बगै़रे हुब्बे नबी हैं सभी अमल बेकार
तमाम उम्र नमाज़ें पढ़ो फ़ुज़ूल तो है

Bagaire hubbe nabi hain sabhi amal bekaar
Tamaam umr namaze padho fuzool to hai

 

 

मेरी ज़मीं तेरी जन्नत से कम नहीं रिज़वाँ
यहां बहिश्त की जाँ रौज़ए रसूल तो है

Meri zami teri jannat se kam nahi rizwa(n)
Yha bahisht ki jaa(n) rouzaye rasool to hai

 

 

हुज़ूर रहमते आलम की बज़्म में अजमल
कलामे नात तेरा क़ाबिले क़बूल तो है

Huzoor rahate aalam ki bazm me Ajmal
Kalaame naat tera qaabiley qabool to hai