Hote Na Aadam Isa Moosa Lyrics
होते ना आदम, ईसा, मूसा
मिस्र का भी बाज़ार नहीं।
रखते अगर इस ख़ाके दना पर
पाओं मेरे सरकार नहीं।।
मेरे नबी का एक इशारा
चांद को दो पारा कर दे
डुबा हुआ सूरज पलटाना
उनके लिए दुशवार नहीं
इब्ने अ़ली ने सजदा किया
ऐसा के उठाया सर ना कभी।
रोज़ा रखा ऐसा के करेंगे
हश्र तलक इफ़्तार नहीं।।
किस का कहाँ मक़तल है बता दे
जंग से पहले ऐ फ़ैज़ी।
मेरे नबी को छोड़ के ऐसा
कोई सिपह सालार नहीं।।
होते ना आदम, ईसा, मूसा
मिस्र का भी बाज़ार नहीं।
रखते अगर इस ख़ाक़े दना पर
पाओं मेरे सरकार नहीं।।
More Naats From Habibullah Faizi
Hote Na Aadam Isa Moosa Lyrics In English
Hote na aadam, eesa, moosa
Misr ka bhi bazar nahin
Rakhte agar is khak e dana par
Paaon mere sarkar nahin
Mere nabi ka ek ishara
Chand ko paara kar de
Dooba hua suraj paltaana
Unke liye dushwar nahin
Ibne ali ne sajda kiya
Aisa ke uthaya sar na kabhi
Roza rakha aisa ke karenge
Hashr talak iftaar nahin
Kis ka kahan maqtal hai bata de
Jang se pahle ae faizi
Mere nabi ko chhor ke aisa
Koi sipaah salaar nahin
Hote na aadam, eesa, moosa
Misr ka bhi bazar nahin
Rakhte agar is khak e dana par
Paaon mere sarkar nahin
Naat Khwan: Habibullah Faizi Madhupur
Shayar: Habibullah Faizi Madhupur