Jo banon Par Hai Bahaar E Chaman Aarai E Dost Naat Sharif Lyrics
Jo Banon Par Hai Bahaar E Chaman Aarai E Dost
Khuld Ka Naam Na Le Bulbul E Shaidaayi E Dost
Thak Ke Beithe To Dar E Dil Pe Tamannai E Dost
Kaun Se Ghar Ka Ujala Nahin Zebai E Dost
Arsa E Hashr Kuja Mawqaf E Mahmood-Kuja
Saaz Hangaamon Se Rakhti Nahi Yaktai E Dost
Mehr Kis Munh Se Jaluw Daari Janan Karta
Saaya Ke Naam Se Bezaar He Yaktaai E Dost
Marne Waalon Ko Yahaan Milti He Umr E Javed
Zinda Choregi Kisi Ko Na Maseehai E Dost
Unko Yakta Kiya Aur Khalq Banai Ya’ani
Anjuman Karke Tamasha Karein Tanhai E Dost
Ka’aba-O-Arsh Mein Kohraam He Naa Kami Ka
Aah Kis Bazm Mein He Jalwa E Yaktaai E Dost
Husne Be Pardah Ke Parde Ne Mitta Rakha He
Dhoondne Jaayein Kahaan Jalwa E Har Jaai E Dost
Shauq Roke Na Ruke Paaon Uthee Na Uthe
Kaisi Mushkil Me Hain Allah Tamannai E Dost
Sharm Se Jhukti Hain Mehraab Ke Saajid Hain Huzoor
Sajdah Karwaati He Ka’aba Se Jabeen Saayi E Dost
Taaj Waalo Ka Yahaan Khaak Pe Maatha Dekha
Saare Daaraoon Ki Daaraa Hoyi Daaraai E Dost
Toor Par Koyi Koyi Charakh Pe Ye Arsh Se Paar
Saare Baalaon Pe Baala Rahi Baalaai E Dost
Anta Fee Him Ne Adoo Ko Bhi Liya Daaman Mein
Aishe Jaaved Mubarak Tujhe Shedai E Dost
Ranj E Aada Ka RAZA Chaarah Hi Kya He Ke Unhein
Aap Gustaakh Rakhe Halm-O-Shakeebaai E Dost