Khuda Ki Baat Wo Apni Zabani Karne Aaye The Lyrics
ख़ुदा की बात वो अपनी ज़बानी करने आए थे
Khuda Ki Baat Wo Apni Zabani Karne Aaye The
Shahe Deen Apne Rab Ki Tarjumani Karne Aaye The
Sharaf Haasil Hua Unko Khuda Ki Mezbani Ka
Zami Ka Rang Bhi Wo Aasmani Karne Aaye The
Unhen Roohon Ko, Zahno Ko, Dilon Ko Fatah Karna Tha
Wo Patthar Jaise Insano Ko Paani Karne Aaye The
Na Aaye Hamko Apni Zaat Se Bhi Dosti Karni
Wo Apne Dushmano Par Mehrbani Karne Aaye The
Fana Ke Waqt Bhi Hamko Hayaat-E-Nau Ka Muzda Hai
Hamari Aaqibat Kitni Suhani Krne Aaye The
Na Thi Mahdood Apne Ahad Tak Paighambari Unki
Azal Se Ta-Abad Wo Hukmrani Karne Aaye The
Tamanna-E-Shahadat Bhi Racha Di Khoon -E-Umaat Me
Azal Ko Bhi Sharik-E-Zindgani Karne Aaye The
Mujassam Ik Namuna Banke Akhlaq-O-Mohabbat Ka
Muzaffar Ko Fana-Fil Naat Khwani Karne Aaye The
Naat Khwan: Muhammad Ali Faizi
Shayar: Muzaffar Warsi
Khuda Ki Baat Wo Apni Zabani Lyrics Hindi
ख़ुदा की बात वो अपनी ज़बानी करने आए थे
शहे दीं अपने रब की तर्जुमानी करने आए थे
शरफ़ हासिल हुआ उनको ख़ुदा की मेज़बानी का
ज़मीं का रंग भी वो आसमानी करने आए थे
उन्हें रूहों को, ज़हनों को, दिलों को फत़ह करना था
वो पत्थर जैसे इंसानों को पानी करने आए थे
ना आए हमको अपनी ज़ात से भी दोस्ती करना
वो अपने दुश्मनों पर मेहरबानी करने आए थे
फ़ना के वक़्त भी हमको ह़यात-ए-नौ का मुज़दा है
हमारी आक़िबत कितनी सुहानी करने आए थे
ना थी महदूद अपने अहद तक पैग़म्बरी उनकी
अज़ल से ता-अबद तक हुकुमरानी करने आए थे
तमन्ना-ए-शहादत भी रचा दी खूने उम्मत में
अज़ल को भी शरीक-ए-ज़िन्दगानी करने आए थे
मुजस्सम इक नमूना बनके अखलाक़-ओ-मोहब्बत का
मुज़फ्फ़र को फ़ना-फ़िल नातख्वानी करने आए थे