Mere Aaqa Madine Bula Lijiye Lyrics
Sahara Chahiye Sarkar Zindagi ke Liye || Mere Aaqa Madine Bula Lijiye || सहारा चाहिए सरकार ज़िन्दगी के लिए || मेरे आक़ा मदीने बुला लीजिये || Lyrics || Hafiz Tahir Qadri
qismat meri chamka do , ya shaah-e-madina !
bigdi meri banaado , ya shaah-e-madina
mere aaqa ! madine bula lijiye
mere aaqa ! madine bula lijiye
sahaara chahiye sarkar ! zindagi ke liye
tadap raha hu.n madine ki haazri ke liye
taiba ke jaane wale ! jaa kar bade adab se
mera bhi qissa-e-gham , kehna shah-e-arab se
kehna ke shaah-e-aa’lam ! ek ranj-o-gham ka maara
dono.n jahaa.n me.n jiska he.n aap hi sahaara
aur kampte labo.n se fariyad kar raha hai
baare gunaah apna hai dosh par uthaaye
koi nahi.n hai aisa , jo puchhne ko aaye
bhula hua musafir, manzil ko dhundhta hai
taarikiyo.n me.n maah-e-kaamil ko dhundhta hai
seene me.n hai andhera , dil hai siyaah khaana
ye hai meri kahaani , sarkar ko sunana
kehna mere nabi se , mehroom hu.n khushi se
sar par ek abr-e-gham hai , ashko.n se aankh nam hai
paamal-e-zindagi hu.n , sarkar ummati hu.n
ummat ke rahnuma ho , kuchh arz-e-haal sunlo
fariyad kar raha hu.n , mai.n dil-figaar kab se
mera bhi qissa-e-gham , kehna shah-e-arab se
huzur aisa koi intezam ho jaaye
salaam ke liye haazir ghulaam ho jaaye
sahaara chahiye sarkar ! zindagi ke liye
tadap raha hu.n madine ki haazri ke liye
mera dil tadap raha hai , mera jal raha hai seena
ke dawa wahi.n milegi , muje le chalo madina
nahi.n maal-o-zar to kya hai , mai.n gareeb hu.n yahi na
mere ishq mujko le chal , tu hi jaanib-e-madina
aaqa na toot jaye , ye dil ka aabgeena
ab ke baras bhi maula ! reh jaaoon mai.n kahi.n na
dil ro raha hai jinka , aansu chhalak rahe he.n
un aashiko.n ka sadqa , bulwaeeye madina
mere aaqa ! madine bula lijiye
mere aaqa ! madine bula lijiye
madine jaau.n , fir aau.n , dubaara fir jaau.n
ke zindagi meri yunhi tamaam ho jaaye
sahaara chahiye sarkar ! zindagi ke liye
tadap raha hu.n madine ki haazri ke liye
aye aazim-e-madina ! jaa kar nabi se kehna
soz-e-gham-e-alam se ab jal raha hai seena
kehna ke bad rahi hai , ab dil ki iztirabee
qadmo.n se door hu.n mai.n qismat ki hai kharabi
kehna ke dil me.n mere , armaa.n bhare hue he.n
kehna ke hasrato.n ke , nashtar chubhe hue he.n
hai aarzu ye dil ki mai.n bhi madine jaau.n
sultan-e-do jahaa.n ko mai.n daag-e-jigar dikhaau.n
kaatu.n hazzar chakkar , taiba ki har gali ke
yunhi guzaar du.n mai.n , ayyaam zindagi ke
qadmo.n pe jaa.n nisaru.n , kaanto.n pe dil ko waaru.n
zarro.n ko du.n salami , dar ki karu.n gulaami
diwar-o-dar ko chumu.n , chokhat pe sar ko rakh du.n
roze ko dekh kar mai.n , rota rahu.n baraabar
aalam ke dil me.n hai ye hasrat na jaane kab se
mera bhi qissa-e-gham kehna shah-e-arab se
sahaara chahiye sarkar ! zindagi ke liye
ya mustafa ! KHudaara , do izn haazri ka
karlu.n nazaara aa kar mai.n aapki gali ka
ek baar to dikhado ramzaan me.n madina
beshak banaalo aaqa ! mahmaan do gadi ka
naseeb walo.n me.n mera bhi naam ho jaaye
jo zindagi ki madine me.n shaam ho jaaye
sahaara chahiye sarkar ! zindagi ke liye
tadap raha hu.n madine ki haazri ke liye
हिंदी(HINDI):