nazar ek chaman se
Nazar Ik Chaman Se Do Chaar Hai Na Chaman Chaman Bhi Nisaar Hai
Ajab Uske Gul Ki Bahaar Hai Ki Bahaare Bulbule Zaar Hai
Na Dile Bashar Hi Figaar Hai Ki Malak Bhi Uska Shikaar Hai
Yeh Jahaan Ki Hazda Hazaar Hai Jise Dekho Uska Hazaar Hai
Nahi Sar Ki Sajda Kunan Na Ho Na Zabaan Ki Zamzamaa Khwaan Na Ho
Na Woh Dil Ki Uspe Tapaan Na Ho Na Woh Seena Jis Ko Qaraar Hai
Woh Hai Bheeni Bheeni Wahan Mahak Ki Basa Hai Arsh Se Farsh Tak
Woh Hai Pyari Pyari Wahan Chamak Ki Wahan Ki Shab Bhi Nahaar Hai
Koi Aur Phool Kahan Khile Na Jagah Hai Joshishe Husn Se
Na Bahaar Aur Pe Rukh Kare Ki Jhapak Palak Ki To Khaar Hai
Yeh Saman Yeh So-Sano Yaasman Yeh Banfasha Sumbulo Nastaran
Gulo Sarwo Laalah Bhara Chaman Wohi Ek Jalwa Hazaar Hai
Yeh Saba Sanak Woh Kali Chatak Yeh Zabaan Chahak Labe Joo Chalak
Yeh Mahak Jhalak Yeh Chamak Damak Sab Usi Ke Dam Ki Bahaar Hai
nazar ek chaman se
Wohi Jalwa Shahar Ba Shahar Hai Wohi Asle Aalamo Dahar Hai
Wohi Bahar Hai Wohi Lahar Hai Wohi Paat Hai Wohi Dhaar Hai
Woh Na Tha To Baagh Mein Kuch Na Tha Woh Na Ho To Baagh Ho Sab Fanaa
Woh Hai Jaan Jaan Se Hai Baqaa Wohi Bun Hai Bun Se Hi Baar Hai
Yeh Adab Ki Bulbule Benawa Kabhi Khul Ke Kar Na Sake Nawaa
Na Saba Ko Tez Rawish Rawa Na Chalakti Nehron Ki Dhaar Hai
Ba Adab Jhuka Lo Sare Wilaa Ki Main Naam Loon Gulo Baagh Ka
Gule Tar Muhammade Mustafa Chaman Un Ka Paak Dayaar Hai
Wohi Aankh Un Ka Jo Munh Take Wohi Lab Ki Mehw Ho Na’at Ke
Wohi Sar Jo Unke Liye Jhuke Wohi Dil Jo Un Pe Nisaar Hai
Yeh Kisi Ka Husn Hai Jalwagar Ki Tapaan Hain Khoobon Ke Dile Jigar
Nahin Chaak Jaibe Gulo Sahar Ki Qamar Bhi Seena Figaar Hai
Wohi Nazre Shah Mein Zare Nikoo Jo Ho Unke Ishq Mein Zard Roo
Gule Khuld Usse Ho Rang Joo Yeh Khazaan Woh Taaza Bahaar Hai
Jise Teri Saffe Ni’aal Se Mile Do Niwaale Nawaal Se
Woh Bana Ki Uske Ugaal Se Bhari Saltanat Ka Udhaar Hai
Woh Uthin Chamak Ke Tajalliyaan Ki Mita Di Sab Ki Tajalliyaan
Dilo Jaan Ko Bakhshi Tasalliyaan Tera Noor Baarido Haar Hai
Rusulo Malak Pe Durood Ho Wohi Jaane Unke Shumaar Ko
Magar Ek Aisa Dikha To Do Jo Shafi’e Roze Shumaar Hai
Na Hijaab Charkho Maseeh Par Na Kaleemo Toor Nihaan Magar
Jo Gaya Hai Arsh Se Bhi Udhar Woh Arab Ka Naaqa Suwaar Hai
Woh Teri Tajalliye Dilnasheen Ki Jhalak Rahe Hain Falak Zameen
Tere Sadqe Mere Mahe Mubeen Meri Raat Kyun Abhi Taar Hai
Meri Zulmaten Hain Sitam Magar Tera Mah Na Mehr Ki Mehr-Gar
Agar Ek Cheent Pade Idhar Shabe Daaj Abhi To Nahaar Hai
Gunahe Raza Ka Hisaab Kya Woh Agarche Laakhon Se Hain Siwaa
Magar Aye Afooww Tere Afw Ka Na Hisaab Hai Na Shumaar Hai
nazar ek chaman se
Tere Deene Paak Ki Woh Ziya Ki Chamak Uthi Rahe Istafaa
Jo Na Maane Aap Sakar Gaya Kahin Noor Hai Kahin Naar Hai
Koi Jaan Bas Ke Mahak Rahi Kisi Dil Mein Us Ke Khatak Rahi
Nahi Uske Jalwe Mein Yak-Rahi Kahin Phool Hai Kahin Khaar Hai
Woh Jise Wahabiya Ne Diya Hai Laqab Shaheedo Zabeeh Ka
Woh Shaheede Lailaaye Najd Tha Woh Zabeehe Taige Khiyaar Hai
Yeh Hai Deen Ki Taqwiyat Us Ke Ghar Yeh Hai Mustaqeem Siraate Shar
Jo Shaqee Ke Dil Mein Hai Gaau Khar To Zabaan Pe Choodha Chamaar Hai
Woh Habeeb Pyara To Umr Bhar Kare Faizo Jood Hi Sar Basar
Are Tujh Ko Khaaye Tape Sakar Tere Dil Mein Kis Se Bukhaar Hai
Woh Raza Ke Neze Ki Maar Hai Ki ‘Adoo Ke Seene Mein Ghaar Hai
Kise Chaara Jooee Ka Waar Hai Ki Ye Waar Waar Se Paar Hai