Khaliq ney apney Nuur ka, Jalwa dikha diyaa
Sab Nuur ko Mila kay Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) bana diya
Aagae Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo
Dey rahey hain farishtey salaami
Tum duruudo ki maala banaa loo
Apney mangto ko wo paaltey hain
Wo bhala kis ko kab taaltey hain
Sadqa Hasnain (radi Allahu ‘anhu) o Ghausul Waraa (rahimahu Llah) ka
Ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) meri jholi may daalo
Ker kay Naato sey her so charaaga
Youu manaaey gay jashney bahaara
Aashiqo Aamad-e-Mustafa hay
Deep Khushiyoo kay her suu jala lo
Waqt chamkey ga aik din hamaarey
Dekh lain gay wo dilkash nazaarey
Aap ko jo bhi sab sey hain pyaarey
Un kay sadqey may ham ko bula lo
Jin kay haatho may hay Un ka daaman
Naam-e-Ahmad hay jis dil ki dharkan
Jo hay pehchaan hum aashiqo kee
Jhuum ker un ka naara laga lo
Puuray ho jaeingay un kay armaan
Ker rahey hain Wo bakhshish ka samaan
Jashne Milaad ki barkato sey
Apney Qalbo Nazer Jag maga lo
Midhat-e-Mustafa hee kay sadqey
Hay Moin apney sab kaam bantey
Her ghari zikr ho Mustafa ka
Iss ko apna wazeefa bana lo
Aagae Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo
Dey rahey hain farishtey salaami
Tum duruudo ki maala banaa loo
Aagae Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo