aaka ko pukar bande aaka pukar, inshaallah ho jaega apna beda par, aaka ko pukar bande
unke hath  me kul kunji hai, rab ne unhain mukhtar kiya
ham ko unka mangta banaya, aur unhain sarkar kiya
jo sarkar ke dar ka gada he, woh khud he mukhtaar
aaka ko pukar bande …
kiya kehna darbar-e-nabi ka, uski shaan hi aali he
hargiz na mehrum woh lota, us dar ka jo sawali hai
aao chalen ab sue madina, chhor ke sab garbar
aaka ko pukaar bande …
alahazarat ne ye yaro, hamko sabak sikhlaya hai
jo gustakhe khudao nabi he, apna nahi wo paraya he
han aise gustakhon par he, mola ki fitkar
aaka ko pukar bande…
kyu gamgeen he tu ae sayyad, dar par woh bulwaenge
ranjo gham sab dur karege, soye bhag jagaenge
aur bhi koyi unke siwa he, dukhiyon ka gamkhwaar
aaka ko pukar bande…
apni to pehchan yahi hai, apni to he shaan yahi
daaman me kuchh aur nahi he, dil me he armaan yahi
itni parhu me unki naatein, razi hon sarkar
aaka ko pukar bande…
yade nabi me tu ae razwi, unki midhat karta ja
diwaro ka dil bhar aaye, jhum ke naatein parta ja
jald madine jayega tu, lagte hein aasar
aaka ko pukar bande…