रौनक़े बज़में दो जहां है आशिक़ाने सोख़्ता
Shayar: Ala Hazrat | Naat e Paak
Naat Khwan: Owais Raza Qadri, Muhammad Shafiqur Rahman Qadri, Sayyed Raza Qari,
Hadaaiqe Bakhshish Part 1
Hindi And English Naat lyrics
रौनक़े बज़में दो जहां है आशिक़ाने सोख़्ता
कह रही है शम्आ़ की गोया ज़बाने सोख़्ता
Rounak E Bazme Do Jahan Hai Aashikaane Sokhta
Kah Rahi Hai Sham’aa Ki Goya Zabane Sokhta
जिस को कुर्से मेह़र समझा है जहां ऐ मुन्इ़मो !
उनके ख़्वाने जूद से है एक नाने सोख़्ता
Jis Ko Kurse Mehr Samjha Hai Jahan Ey Muneemo !
Unke Khwane Jood Se Hai Ek Naane Sokhta
माहे मन यह नय्यरे मह़शर की गरमीं ताब-के
आतशे इ़श्यां में खुद जलती है जाने सोख़्ता
Maahe Mann Yeh Nayyare Mahshar Ki Garmi Taab-Ke
Aadshe Isyaa(N) Me Khud Jalti Hai Jaane Sokhta
बर्क़े अंगुश्ते नबी चमकी थी उस पर एक बार
आज तक है सीनए मह में निशाने सोख़्ता
Barqe Angushta Nabi Chamki Thi Us Par Ek Baar
Aaj Tak Hai Seen-E-Mah Me Nishani Sokhta
मेहरे आ़लम ताब झुकता है पए तसलीम रोज़
पेशे ज़र्राते मज़ारे बे दिलाने सोख़्ता
Mehre Aalam Taab Jhukta Hai Paaye Tasleem Roz
Peshe Zarrate Mazare Be Dilaane Sokhta
कूचए गेसूए जानां से चले ठन्डी नसीम
बालो पर अफ़्शां हों या रब बुलबुलाने सोख़्ता
Koocha-E-Gesoo-E-Jana Se Chale Thandi Naseem
Baalo Par Afsha(N) Hon Yaa Rab Bulbulane Sokhta
बह़रे हक़ ऐ बहरे रह़मत इक निगाहे लुत्फ़ बार
ताब-के बे आब तड़पें माहियाने सोख़्ता
Bahre Haq Ey Bahre Rahmat Ik Nigaahe Lutf Baar
Taab-Ke Be Aab Tadpe Maahiyane Sokhta
रु कशे खुरशीदे मह़शर हो तुम्हारे फ़ैज़ से
इक शरारे सीनए शैदाईयाने सोख़्ता
Roo Kashe Khursheed-E-Mahshar Ho Tumhare Faiz Se
Ik Sharare Seenaye Shaida’ee-Yaane Sokhta
आतशे दर दामनी ने दिल किये क्या क्या कबाब
ख़िज़र की जां हो जिला दो माहियाने सोख़्ता
Aatshe Dar Daamni Ne Dil Kiye Kya Kya Kabaab
Khizar Ki Jaa(N) Ho Jila Do Maahiyaane Sokhta
आतशे गुलहाए त़यबा पर जलाने के लिए
जान के त़ालिब हैं प्यारे बुलबुलाने सोख़्ता
Aatshe Gulhaaye Taiba Par Jalane Ke Liye
Jaan Ke Taalib Hein Pyare Bulbulane Sokhta
लुत्फ़े बर्क़े जल्वए मेराज लाया वज्द में
शोलए जव्वाला सां है आस्माने सोख़्ता
Lutfe Barqe Jalwa-E-Meraaj Laaya Wajd Me
Shoal-E-Jawwala Saa(N) Hai Aasmane Sokhta
ऐ रज़ा मज़मून सोज़े दिल की रिफ़अ़त ने किया
इस ज़मीने सोख़्ता को आस्माने सोख़्ता
Ey RAZA Mazmoon Soze Dil Ki Rif’at Ne Kiya
Is Zameene Sokhta Ko Aasmaane Sokhta