tere dar kaa gadaa le ke kaasa shahaa hai kha.Daa aaj tere ye darbaar me.n
terii ke kaa sadqa mujhe bhii mile hai kamii kaun sii terii sarkaar me.n
apne daaman me.n ko.ii bhii nekii nahii.n terii ke kaa hai aasraa bas hame.n
aasiyo.n par KHataa.o.n kii bahar-e-KHudaa laaj rakh lenaa mahshar ke baazaar me.n
aashiqo aa gayaa shahar sarkaar kaa dekhnaa uu.nchii aavaaz na ho kahii.n
aa.nsu.o.n kii zabaa.n le ke afsaana Gam kaho kamlii vaale kii sarkaar me.n
kyuu.n fidaa un pe maah-e-taabaa.n na ho kyuu.n na KHurshiid aaqaa pe qurbaan ho
jabki hai jalva-gar nuur-e-rabbul-ulaa kamlii vaale mohammad ke anvaar me.n
gaa.e jaa giit tuu apnii sarkaar ke apnii sarkaar ke apne Gam-KHvaar ke
vo ‘niyaazii’ hai.n a.alam ke haajat-ravaa un kaa saanii nahii.n ko.ii sansaar me.n