ya ilahi har jagah lyrics
Ya Ilahi har jagah teri ata ka saath ho
Jab pade mushkil Shahe mushkil kusha ka saath ho
Ya ilahi bhool jaau naz’a ki takleef ko
Shadiye deedare husne Mustafa ka saath ho
Ya ilahi gore teera ki jab aaye sakht raat
Unke pyare muh ki subhe jaanfiza ka saath ho
Ya ilahi jab pade mehshar mein shore daaro-geer
Amn dene waale pyare peshwa ka saath ho
chamane taiba mein sumbul lyrics
Ya ilahi jab zabaane baahar aayen pyaas se
Saahibe kausar Shahe joodo ata ka saath ho
Ya ilahi sard mehri par ho jab khursheede hashr
Sayyide be saaya ke zille liwa ka saath ho
Ya ilahi garmiye mehshar se jab bhadkein badan
Daamane Mehboob ki thandi hawa ka saath ho
Ya ilahi naamaye aamaal jab khulne lage
Aib poshe khalq sattaare khata ka saath ho
Ya ilahi jab bahe(n) aankhen hisaabe jurm mein
Un tabassum rez honto ki dua ka saath ho
Ya ilahi jab hisaabe khandaye be jaa rulaaye
Chashme giryaane Shafiye Murtaza ka saath ho
Ya ilahi rang laaye(n) jab meri bebaakiyaa(n)
Unki neechi neechi nazro(n) ki haya ka saath ho
Ya ilahi jab chalu(n) taareek raahe pul siraat
Aaftaabe Haashmi Noorul Huda ka saath ho
Ya ilahi jab sare shamsheer par chalna pade
Rabbe sallim kehne wale ghamzuda ka saath ho
Ya ilahi jo dua e nek main tujhse karu(n)
Daulate bedaare ishqe Mustafa ka saath ho
ya ilahi har jagah lyrics in hindi
या इलाही हर जगह तेरी अ़त़ा का साथ हो
जब पड़े मुश्किल शहे मुश्किल-कुशा का साथ हो
या इलाही भूल जाऊँ नज़्अ’ की तकलीफ़ को
शादी-ए-दीदार-ए-ह़ुस्न-ए-मुस्त़फ़ा का साथ हो
या इलाही गोर-ए-तीरा की जब आए सख़्त रात
उन के प्यारे मुँह की सुब्ह़-ए-जाँ-फ़िज़ा का साथ हो
या इलाही जब पड़े मह़शर में शोर-ए-दार-ओ-गीर
अम्न देने वाले प्यारे पेशवा का साथ हो
या इलाही जब ज़बानें बाहर आएँ प्यास से
साह़िब-ए-कौसर, शह-ए-जूद-ओ-अ़त़ा का साथ हो
या इलाही सर्द-मेहरी पर हो जब ख़ुर्शीद-ए-ह़श्र
सय्यिद-ए-बे-साया के ज़िल्ल-ए-लिवा का साथ हो
या इलाही गर्मी-ए-मह़शर से जब भड़कें बदन
दामन-ए-मह़बूब की ठंडी हवा का साथ हो
या इलाही नामा-ए-आ’माल जब खुलने लगें
ऐ़ब-पोश-ए-ख़ल्क़, सत्तार-ए-ख़त़ा का साथ हो
या इलाही जब बहें आँखें ह़िसाब-ए-जुर्म में
उन तबस्सुम-रेज़ होंटों की दुअ़ा का साथ हो
या इलाही जब ह़िसाब-ए-ख़ंद-ए-बे-जा रुलाए
चश्म-ए-गिर्यान-ए-शफ़ी-ए़-मुर्तजा का साथ हो
या इलाही रंग लाएँ जब मेरी बे-बाकियाँ
उन की नीची नीची नज़रों की ह़या का साथ हो
या इलाही जब चलूँ तारीक राह-ए-पुल-सिरात़
आफ़्ताब-ए-हाशिमी नूरुल-हुदा का साथ हो
या इलाही जब सर-ए-शमशीर पर चलना पड़े
रब्बे सल्लिम’ कहने वाले ग़म-जु़दा का साथ हो
या इलाही जो दुअ़ाए नेक मैं तुझ से करे
क़ुदसियों के लब से आमीं रब्बना का साथ हो
- या इलाही जब रज़ा ख़्वाब-ए-गिराँ से सर उठाए
- दौलत-ए-बेदार-ए-इ़श्क़-ए-मुस्त़फा का साथ हो