Mere Dil KI Zamee Par Hai Qadam Zahra Ke Bachchon Ka
Meri Naslo’n Pe Hai Dast e Karam Zahra Ke Bachchon Ka
Zamane Ka Koi Bhi Ranj Usey Ruswa Nahi Karta
Sukoonat Paale Jis Seene Me Gham Zahra Ke Bachchon Ka
Nabi Ke Deen Ki Khatir Kiye Qurbaa’n Bahattar Sar
Bhulaye Kis Tarha Ehsaan Hum Zahra Ke Bachchon Ka
Khuda Ke Fazl Se Izn e Ziyarat Ka Sharaf Paaya
Zah e Qismat Mai Dekh Aaya Haram Zahra Ke Bachchon Ka
Hazaaro Koshish e Karli Zamane Ne Jukhane Ki
Mujhe Jhukne Nahi Deta Bharam Zahra Ke Bachchon Ka
Gulistaan e Payambar Ka Har Ek Gul Hai Gul e Tanweer
Mumasil Hi Nahi Rab Ki Qasam Zahra Ke Bachchon Ka