Bukhaar aur darde sar
A’alahazrat Imam Ahmad Raza قدس سره farmaatey haiN:
Dard-e-sar aur bukhaar woh mubarak amraaz (beemariyan) haiN jo ambiyaa عليہم السلام ko hotey the.
Ek wali رحمة الله تعالى عليه ke dard-e-sar huwa, Aap ne is shukriya meiN tamaam raat nawaafil meiN guzaar di ke Rabbul ‘izzat tabarak wa ta’ala ne mujhe woh marz diya jo ambiyaa علیہم السلام ko hota tha.
Bukhaar aur darde sar
AllahuAkbar! YahaN yeh haalat ke agar baraaye naam dard ma’aloom huwa toh yeh khayaal hota hai ke jald namaaz paDh leiN.
Alhamdulillah ke mujhe aksar haraarat wa dard-e-sar rehta hai.
[Malfuzaat-e-A’alahazrat, hissa-1, safha-147]
#malfuzaatealahazrat #post6 #urserazvi