Hayate Khwaja Garib Nawaz Article

Hayate Khwaja Garib Nawaz Article

Sultanul Hind Atae Rasool Khwajae Khwajagaan Hazrat Moinuddin Hasan Chishti Sanjari Raziyallahu Ta’ala Anhu Sanjar Khurasan Mein Paida Hue Sanjar Kandhar Se Purab Ki Jaanib 24 Ghante Ke Raste Mein Aata Hai Yah Gaon Ab Tak Maujud Hai Isi Ko Sajistan Bhi Kehte Hain Aapke Walid Majid Ka Isme Girami Hazrat Giyasuddin Hasan Hai Yeh Aathvi Pusht Mein Arif Haq Hazrat Musa Kazim Rehamatullahi Ta’ala Alaihi Ke Pote Hote Hain Valida Majida Ka Naam Bibi Ummul Wara Hai Aur Bibi Mahenoor Se Mashhur Thien Jo Chand Vasta Se Hazrat Imam Hassan Radi Allahu Tala Anhu Ki Poti Hoti Thi. Isliye Aap Valida Ki Taraf Se Husani Aur Walid Ki Taraf Se Hussaini Sayyed Hain.

Aap Ki Walida Ka Bayan Hai Ki Jis Waqt Mera Noor E Nazar Lakhte Jigar Mere Shikam Mein Aaya Mera Sara Ghar Khairo Barkat Se Mamur Ho Gaya Hamare Dushman Bhi Mohabbat Se Pesh Aane Lage. Kabhi Kabhi Mujhe Behtarin Khwab Nazar Aate Aur Jis Waqt Se Mere Rab Ne Aapke Jisme Athar Mein Jan Dali To Us Waqt Se Mamur Ho Gaya Tha Ki Aadhi Raat Se Shubah Tak Mere Shikam Se Tasbiho Tahlil Ki Awaaz Aati Thi. Main Us Mubarak Awaaz Mein Gum Ho Jaya Karti Thi. Jab Aap Ki Wiladat Hui Mera Ghar Noor Se Bhar Gaya.

Walid Ki Taraf Se Ap Ka Silsilae Nasab Is Tarah Hai.

Hazrat KHWAJA Moinuddin Hasan Chishti, Bin Gayasuddin, Bin Najmuddin Tahir, Bin Sayyad Ibrahim, Bin Sayyad Idrees, Bin Sayyad Imam Musa Kazim, Bin Jafare Sadiq, Bin Imam Muhammad Baqir, Bin Imam Zainul Abideen, Bin Sayyaduna Imam Husain, Bin Amirul Momineen Hazrat Maila Ali Radiyallahu Anhum Ajmaeen.

Nasab Nama Madri Ye Hai

Bibi Ummul Wara, Binte Hazrate Sayyad Dawud, Bin Abdullah, Bin Zahid, Bin Muhammad Musa, Bin Sayyad Abdullah Makhfi, Bin Hasan Musanna, Bin Imame Hasan, Bin Hazrate Ali Radillahu Anhum Ajmaeen

Taleemo Tarbiyat

Ibtidai Taleem Ghar Par Hui Ap Ke Walid Buzurgvar Sayyad Gayasuddeen Hasan Ek Bade Jayyed Alim The. Khwaja Sahab Ne 9 Sal Ki Umr Me Quraan Majeed Hifz Kar Liya Aur Iske Bad Sanjar Ke Ek Maktab Me Dakhla Huwa. Ap Ne Yaha Ibtidai Tor Se Tafseer, Fiqh, Hadees, Ki Talim Pai Aur Thode Hi Arse Me Ap Ne Tamam Uloom Me Maharat Hasil Kar Liya.

Sayyaduna Gause Azam Se aap Ka Taalluq

Masalikus Salikeen (Page 271) Se Pata Chalta Hai Ke Khwaja Gareeb Nawaz Aur Sayyaduna Gause Azam Apas Me Khalazad Bhai Hain. Aur Sairul Aqtab(Page 107) Se Malum Hota Hai Ke Khwaja Gareeb Nawaz Ek Rishte Se Gause Pak Ke Mamun Hote Hain.

Walid Ka Saya Sar Se Uth Gaya

Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz Radiyallahu Anhu Bachpan Hi Me Apni Walida Ke Saya Se Mahroom Ho Gae Abhi Aap Ki Umr 15 Sal Bhi Nahi Hui Thi Ke Aap Ke Walid Sahab Bhi Jan Bahaq Ho Gae. Walid Ka Wisal Shabanulmukarram San Hijri (544) Me Huwa. Walid Ke Tarka Me Se Khwaja Gareeb Nawaz Ko Ek Chakki Aur Ek Bag- Ye Donon Chizen  Milin Jis Ki Amdani Se Aap Gazar Basar Farmate.

Ek Majzub Ne Zndagi Mein Inqilab Dal Diya

Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz Apne Bag Ki Dekh Bhal Khud Farmate The Ek Din Apne Bag Ko Pani De Rahe The Ke Achanak Ek Majzub Hazrat Ibrahim Qandozi Bag Me Dakhil Ho Gae. Gareeb Nawaz Ko Bachpan Hi Se Sufiyon Aur Durweshon Se Bepanah Lagaw Tha Is Liye Nihayat Khanda Peshani Se Unka Istiqbal Kiya Aur Bahut Hi Munkasirul Mijazi Se Pesh Aae Aur Angur Ka Ek Khosha Tod Kar Hazrat Ibrahim Qandozi Ke Huzoor Pesh Kiya Wo Buzurg Samaj Gae Ke Hasan Ko Rahnumai Ki Talash Hai Jo Unko Haq Tak Pohchade Aur Aap Achi Tarah Jan Rahe The Ke Aaj Ka Ye Anokha Bagban Kal Logon Ke Dilon Ki Bagbani Karega Aur Kai Logon Ki Ruhani Piyas Bujaega Aur Lakhon Ko Mae Tauheed Ka Matwala Bana Dega Aur Jo Bhi Uski Ek Nazar Se Jam Pilega Wo Ishqe Ilahi Me Sar Mast Hojaega. Is Liye Aap Ne Roti Ka Ek Tukda Nikala Aur Usko Chaba Kar Khwaja Sahab Ko Inayat Farmaya Ab Kiya Tha Khate Hi Dil Ki Dunya Badal Gai Hijabat Uth Gae. Hazrate Ibrahim To Tashreef Le Gae Lekin Sayyaduna Gareeb Nawaz Ne Apna Bag Farokht Karke Fuqra Wa Masakeen Me Taqseem Farma Diya Aur Khud Talashe Haq Ke Liye Chal Pade.