नूर ने नूर के सांचे में जो ढाली तस्वीर
सारी शक्लों से हसीं सब से निराली तस्वीर
शक्ले इसान में हक़ बोलने वाली तस्वीर
जब मुसब्बिर ने मुकम्मल वो बना ली तस्वीर
नाज़ से ख़ालिक़े अकबर ने कहा वाह रे मैं
और तस्वीर यह बोल उठ्ठी कि अल्लाह रे मैं
Noor Ne Noor Ke Saanche Me Jo Dhaali Tasveer
Saari Shaklon Se Hasi Sub Se Nirali Tasveer
Shakle Insaan Me Haq Bolne Waali Tasveer
Jab Musabbir Ne Mukammal Wo Bana Li Tasveer
Naaz Se Khaliq E Akbar Ne Kaha Wah Re Mein
Aur Tasveer Yeh Bol Uththi Ki Allah Re Mein
जिसकी तशवीह भी दी जा न सके वो तस्वीर
जिसकी तशरीह भी की जा न सके वो तस्वीर
जिसकी तस्वीर भी ली जा न सके वो तस्वीर
वह जो तस्वीर कही जा न सके वो तस्वीर
खुद बना कर यदे कुदरत ने कहा वाह रे मैं
और तस्वीर यह बोल उठ्ठी कि अल्लाह रे मैं
Jiski Tashweeh Bhi Di Jaa Na Sakey Wo Tasveer
Jiski Tashreeh Bhi Ki Ja Na Sakey Wo Tasveer
Jiski Tasveer Bhi Lee Ja Na Sakey Wo Tasveer
Wah Jo Tasveer Kahi Ja Na Sakey Wo Tasveer
Khud Bana Kar Yade Qudrat Ne Kaha Waah Re Mein
Aur Tasveer Yeh Bol Uththi Ki Allah Re Mein
ऐसी तस्वीर जो सूरत गरे आईना बनी
ऐसी तस्वीर कि जो नक़्शे दिलो सीना बनी
ऐसी तस्वीर कि जो हुस्न का गन्जीना बनी
ऐसी तस्वीर किसी ने न बनाई न बनी
मूजिदे सूरतो सीरत ने कहा वाह रे मैं
और तस्वीर यह बोल उठ्ठी कि अल्लाह रे मैं
Aisi Tasveer Jo Soorat Garey Aaina Bani
Aisi Tasveer Ki Jo Naqshe Dilo Seena Bani
Aisi Tasveer Ki Jo Husn Ka Ganjeena Bani
Aisi Tasveer Kisi Ne Na Banaai Na Bani
Moojide Soorat Seerat Ne Kaha Waah Re Mein
Aur Tasveer Yeh Bol Bol Uththi Ki Allah Re Mein
जिसके नज़्ज़ारे को आईना फिसल जाता है
नक़्शे पा लेने को पत्थर भी पिघल जाता है
दीद का रंग तहय्युर में बदल जाता है
देखता है जो वो तस्वीर मचल जाता है
नाज़ से साहेबे अज़मत ने कहा वाह रे मैं
और तस्वीर यह बोल उठ्ठी कि अल्लाह रे मैं
Jiske Nazzare Ko Aaina Fiasal Jata Hai
Naqshe Paa Lene Ko Patthar Bhi Pighal Jata Hai
Deed Ka Rang Tahyyur Me Badal Jata Hai
Dekhta Hai Jo Wo Tasveer Machal Jata Hai
Naaz Se Saahebe Azmat Ne Kaha Wah Re Mein
Aur Tasveer Yeh Bol Bol Uththi Ki Allah Re Mein
इन्स वो जिन्नों बशर कर्रो बयां से पहले
कुर्सियों लौहो क़लम अर्शो जहां से पहले
ईं वा आं चूं व चुनाँ लफ़्ज़ो बयाँ से पहले
वो जो तश्कील हुई फ़हमों गुमां से पहले
उसकी तारीफ़ में क़ुदरत ने कहा वाह रे मैं
और तस्वीर यह बोल उठ्ठी कि अल्लाह रे मैं
Ins Wo Jinno(n) Bashar Karro Baya(n) Se Pahle
Kursiyaa(n) Louho Qalam Arsho Jahan Se Pahle
Ee(n) Wa Aa(n) Choo(n) Chuna(n) Byan(n) Se Pahle
Wo Jo Tashkeel Hui Fahmo(n) Guma(n) Se Pahle
Uski Taareef Me Qudrat Ne Kaha Wah Re Mein
Aur Tasveer Yeh Bol Bol Uththi Ki Allah Re Mein
जब हुआ कलबदे आदमे ख़ाकी तैयार
ख़द्दो ख़ालो रुख़ो गेसू के खिंचे नक़्शो निगार
नूरे अह़मद से जो पेशानी हुई पुर अनवार
तब कहीं रुह को आया तने आदम में क़रार
तो बसद नाज़ ये रह़मत ने कहा वाह रे मैं
और तस्वीर यह बोल उठ्ठी कि अल्लाह रे मैं
Jab Hua Kalbade Aadme Khaaqi Tayyaar
Khaddo Khaalo Rukho Gesoo Ke Khiche Naqsho Nigaar
Noore Ahmad Se Jo Peshani Hui Pur Anwaar
Tub Kahi Rooh Ko Aaya Tane Aadam Me Qaraar
To Basad Naaz Ye Rahmat Ne Kaha Wah Re Mein
Aur Tasveer Yeh Bol Bol Uththi Ki Allah Re Mein
जिससे हर शक्ल नमूदार हुई वह तस्वीर
हुस्ने इन्सान का जो मेअ़यार हुई वह तस्वीर
हर तरह से जो तरहदार हुई वह तस्वीर
ख़ल्क़ से पहले जो तैयार हुई वह तस्वीर
ख़ल्क़ फ़रमा के मशीयत ने कहा वाह रे मैं
और तस्वीर यह बोल उठ्ठी कि अल्लाह रे मैं
Jisse Har Shakl Namoodar Hui Wah Tasveer
Husne Insaan Ka Jo Mea’yaar Hui Wah Tasveer
Har Tarha Se Jo Tahardaar Hui Wah Tasveer
Khalq Se Pahle Jo Tayyar Hui Wah Tasveer
Khalq Farma Ke Mashiyat Ne Kaha Waah Re Mein
Aur Tasveer Yeh Bol Bol Uththi Ki Allah Re Mein
बेहतरो बरतरो आला तरो अफ़ज़ल तस्वीर
हर तरह कामिलो अकमल व मुकम्मल तस्वीर
आख़िरी नक़्श जिसे कहिये वो अव्वल तस्वीर
जब बना ली यदे क़ुदरत ने वो अजमल तस्वीर
नाज़ से सानेअ़ए सनअ़त ने कहा वाह रे मैं
और तस्वीर यह बोल उठ्ठी कि अल्लाह रे मैं
Behtaro Bartaro Aala Taro Afzal Tasveer
Har Tarha Kaamilo Akmal Wa Mukammal Tasveer
Aakhiri Naqsh Jise Kahiye Wo Awwal Tasveer
Jab Bana Li Yade Qudrat Ne Wo Ajmal Tasveer
Naaz Se Saanea’e San’at Ne Kaha Waah Re Mein
Aur Tasveer Yeh Bol Bol Uththi Ki Allah Re Mein